Monday, August 6, 2012

Dost Gham-khwari mein meri

Dost gamkhvari mein meri sai farmavenge kya
zakhm ke bharne talak nakhun na badh javenge kya

beniyazi had se guzri banda paravar kab talak
hum kahenge hal-e-dil aur aap farmavenge kya

hazarat-e-naseh gar aayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samajha do ki samajhavenge kya

aj van teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne mein wo ab lavenge kya

gar kiya naseh ne hum ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq ke andaz chhut javenge kya

khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-vafa | zindan se ghabaravenge kya

hai ab is mamure mein kahat-e-gam-e-ulfat asad
hum ne ye mana ki dilli mein rahe khavenge kya

1 comment: